diwana tha jo zehn se uljha tamam raat
dīvāna thā jo zehn se uljhā tamām raat
asbāb-e-ġham kī fikr meñ jaagā tamām raat
ġham ke baġhair zinda rahūñgā maiñ kis tarah
bechain is ḳhayāl ne rakkhā tamām raat
jab mere us ke biich ta.alluq hī kuchh nahīñ
phir dil ko kyā huā ki jo taḌpā tamām raat
ye mere apne husn-e-tasavvur kī baat hai
rahtā hai mere ghar bhī ujālā tamām raat
'farmān' un kī yaad meñ to raat kaT ga.ī
achchhā huā qarār na aayā tamām raat
diwana tha jo zehn se uljha tamam raat
asbab-e-gham ki fikr mein jaga tamam raat
gham ke baghair zinda rahunga main kis tarah
bechain is KHayal ne rakkha tamam raat
jab mere us ke bich talluq hi kuchh nahin
phir dil ko kya hua ki jo taDpa tamam raat
ye mere apne husn-e-tasawwur ki baat hai
rahta hai mere ghar bhi ujala tamam raat
'farman' un ki yaad mein to raat kaT gai
achchha hua qarar na aaya tamam raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.