diwana-war un se mulaqat ho kabhi
dīvāna-vār un se mulāqāt ho kabhī
lab-basta ham kaheñge agar baat ho kabhī
āñkheñ hoñ band aur nigāhoñ meñ vo raheñ
āñgan meñ āftāb ho vo raat ho kabhī
is bahr-e-be-kanār meñ sahrā haiñ maujzan
dil meñ bahār laa.e vo barsāt ho kabhī
tohfe meñ jaan pesh kareñge huzūr ham
shāyān-e-shān aap ke sauġhāt ho kabhī
karte rahe haiñ aap hamārī nafī sadā
badleñ muāmlāt gar isbāt ho kabhī
ham aaj is umiid pe baazī lagā.eñge
jaur-o-sitam ko aap kī shah-māt ho kabhī
garche tavaqquāt 'hidāyat' haiñ be-samar
shāyad vafāoñ kī bhī mukāfāt ho kabhī
diwana-war un se mulaqat ho kabhi
lab-basta hum kahenge agar baat ho kabhi
aankhen hon band aur nigahon mein wo rahen
aangan mein aaftab ho wo raat ho kabhi
is bahr-e-be-kanar mein sahra hain maujzan
dil mein bahaar lae wo barsat ho kabhi
tohfe mein jaan pesh karenge huzur hum
shayan-e-shan aap ke saughat ho kabhi
karte rahe hain aap hamari nafi sada
badlen muamlat gar isbaat ho kabhi
hum aaj is umid pe bazi lagaenge
jaur-o-sitam ko aap ki shah-mat ho kabhi
garche tawaqquat 'hidayat' hain be-samar
shayad wafaon ki bhi mukafat ho kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.