diwane itne jama hue shahr ban gaya
dīvāne itne jam.a hue shahr ban gayā
jañgal ke haq meñ josh-e-junūñ zahr ban gayā
uchTī jo niiñd dil kā har ik zaḳhm jaag uThā
yādoñ kā chāñd pichhle-pahar qahr ban gayā
ye ziist hai 'fuzail' ki dariyā-e-dard hai
har lamha ġham kī umDī huī lahar ban gayā
diwane itne jama hue shahr ban gaya
jangal ke haq mein josh-e-junun zahr ban gaya
uchTi jo nind dil ka har ek zaKHm jag uTha
yaadon ka chand pichhle-pahar qahr ban gaya
ye zist hai 'fuzail' ki dariya-e-dard hai
har lamha gham ki umDi hui lahar ban gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.