diwane zara raqs-e-junun tez kiye ja
dīvāne zarā raqs-e-junūñ tez kiye jā
mantiq se ḳhirad kī abhī parhez kiye jā
maiñ tere ma.ā.ib ko mahāsin hī kahūñgā
tū zarf-e-anā ko mere labrez kiye jā
ḳhāmosh na rah ġhuncha-e-sar-basta kī sūrat
lab khol tū māhaul ko gul-rez kiye jā
sairāb tū kar lauh-o-qalam ḳhūn-e-jigar se
tū kisht-e-suḳhan-zār ko zarḳhez kiye jā
ḳhud khiñch ke chalī aa.egī vo lailā-e-manzil
bas zauq-e-talab ko yūñhī mahmez kiye jā
diwane zara raqs-e-junun tez kiye ja
mantiq se KHirad ki abhi parhez kiye ja
main tere maaib ko mahasin hi kahunga
tu zarf-e-ana ko mere labrez kiye ja
KHamosh na rah ghuncha-e-sar-basta ki surat
lab khol tu mahaul ko gul-rez kiye ja
sairab tu kar lauh-o-qalam KHun-e-jigar se
tu kisht-e-suKHan-zar ko zarKHez kiye ja
KHud khinch ke chali aaegi wo laila-e-manzil
bas zauq-e-talab ko yunhi mahmez kiye ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.