diwangi jab had se guzar jae to kya ho
dīvāngī jab had se guzar jaa.e to kyā ho
ilzām agar tere bhī sar jaa.e to kyā ho
dil yūrish-e-ālām se Dar jaa.e to kyā ho
sāġhar meñ mirī ziist utar jaa.e to kyā ho
ho saath koī hai ye javānī kā taqāza
ye umr bhī tanhā hī guzar jaa.e to kyā ho
dīvār ne har jurm ko parde meñ rakhā hai
dīvār ke bhī paar nazar jaa.e to kyā ho
va.ada jo nibhāne kā kiyā ahd 'sahar' kal
vo shaḳhs bhī va.ade se mukar jaa.e to kyā ho
diwangi jab had se guzar jae to kya ho
ilzam agar tere bhi sar jae to kya ho
dil yurish-e-alam se Dar jae to kya ho
saghar mein meri zist utar jae to kya ho
ho sath koi hai ye jawani ka taqaza
ye umr bhi tanha hi guzar jae to kya ho
diwar ne har jurm ko parde mein rakha hai
diwar ke bhi par nazar jae to kya ho
wada jo nibhane ka kiya ahd 'sahar' kal
wo shaKHs bhi wade se mukar jae to kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.