diwangi ki tujhko bhi ai kash KHu mile
dīvāngī kī tujh ko bhī ai kaash ḳhū mile
maiñ chār-sū dikhā.ī duuñ tū chār-sū mile
ye intihā-e-ishq hai yā irtiqā-e-husn
har shai meñ merā rang mile terī bū mile
josh-e-hayā se paak huī ārzū-e-dil
ḳhalvat meñ do javān badan bā-vazū mile
do chaar bāteñ aur mukammal ḳhamoshiyāñ
ham donoñ yuuñ to der talak rū-ba-rū mile
vallāh tū to phuul hai pahlī bahār kā
vo kitnā ḳhush-nasīb hai jis ko ki tū mile
yuuñ to tire ḳhud apne hī armān kam nahīñ
ai kaash tere dil ko mirī aarzū mile
diwangi ki tujh ko bhi ai kash KHu mile
main chaar-su dikhai dun tu chaar-su mile
ye intiha-e-ishq hai ya irtiqa-e-husn
har shai mein mera rang mile teri bu mile
josh-e-haya se pak hui aarzu-e-dil
KHalwat mein do jawan badan ba-wazu mile
do chaar baaten aur mukammal KHamoshiyan
hum donon yun to der talak ru-ba-ru mile
wallah tu to phul hai pahli bahaar ka
wo kitna KHush-nasib hai jis ko ki tu mile
yun to tere KHud apne hi arman kam nahin
ai kash tere dil ko meri aarzu mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.