diwangi ne kya kya aalam dikha diye hain
dīvāngī ne kyā kyā 'ālam dikhā diye haiñ
pariyoñ ne khiḌkiyoñ ke parde uThā diye haiñ
allāh-re faroġh us ruḳhsār-e-ātishīñ kā
sham.oñ ke rañg misl-e-kāfūr uḌā diye haiñ
ātish-nafs havā hai gulzār kī hamāre
bijlī girī hai ġhunche jab muskurā diye haiñ
sau baar gul ko us ne talvoñ tale malā hai
kaTvā ke sarv shamshād aksar jalā diye haiñ
insān-e-ḳhūb-rū se baaqī rahe tafāvut
is vāste parī ko do par lagā diye haiñ
abrū-e-kaj se ḳhūn-e-ushshāq kyā 'ajab hai
talvār ne nishān-e-lashkar miTā diye haiñ
kis kis ko ḳhuub kahiye allāh ne butoñ ko
kyā gosh o chashm kyā lab kyā dast-o-pā diye haiñ
be-yār baam par jo vahshat meñ chaḌh gayā huuñ
parnāle rote rote maiñ ne bahā diye haiñ
vasf-e-kamān-e-abrū jo kījiye so kam hai
be-tīr bismiloñ ke tuude lagā diye haiñ
royā huuñ yaad kar ke maiñ terī tund-ḳhūī
sarsar ne jab charāġh-e-raushan bujhā diye haiñ
soz-e-dil-o-jigar kī shiddat phir āj-kal hai
phir pahluoñ ke takiye mash'al banā diye haiñ
sham.oñ ko tū ne dil se parvānoñ ke utārā
āñkhoñ se bulbuloñ kī gulshan girā diye haiñ
vo bāda-kash huuñ merī āvāz-e-pā ko sun kar
shīshoñ ne sar huzūr-e-sāġhar jhukā diye haiñ
ashkoñ se ḳhāna-e-tan 'ātish' ḳharāb hogā
qasr-e-sipihr-e-rif.at bārāñ ne Dhā diye haiñ
diwangi ne kya kya 'alam dikha diye hain
pariyon ne khiDkiyon ke parde uTha diye hain
allah-re farogh us ruKHsar-e-atishin ka
shamon ke rang misl-e-kafur uDa diye hain
aatish-nafs hawa hai gulzar ki hamare
bijli giri hai ghunche jab muskura diye hain
sau bar gul ko us ne talwon tale mala hai
kaTwa ke sarw shamshad aksar jala diye hain
insan-e-KHub-ru se baqi rahe tafawut
is waste pari ko do par laga diye hain
abru-e-kaj se KHun-e-ushshaq kya 'ajab hai
talwar ne nishan-e-lashkar miTa diye hain
kis kis ko KHub kahiye allah ne buton ko
kya gosh o chashm kya lab kya dast-o-pa diye hain
be-yar baam par jo wahshat mein chaDh gaya hun
parnale rote rote main ne baha diye hain
wasf-e-kaman-e-abru jo kijiye so kam hai
be-tir bismilon ke tude laga diye hain
roya hun yaad kar ke main teri tund-KHui
sarsar ne jab charagh-e-raushan bujha diye hain
soz-e-dil-o-jigar ki shiddat phir aaj-kal hai
phir pahluon ke takiye mash'al bana diye hain
shamon ko tu ne dil se parwanon ke utara
aankhon se bulbulon ki gulshan gira diye hain
wo baada-kash hun meri aawaz-e-pa ko sun kar
shishon ne sar huzur-e-saghar jhuka diye hain
ashkon se KHana-e-tan 'atish' KHarab hoga
qasr-e-sipihr-e-rifat baran ne Dha diye hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.