diwanon ke pas aae hain apni si samjhane log
dīvānoñ ke paas aa.e haiñ apnī sī samjhāne log
baste haiñ is duniyā meñ bhī kaise kaise siyāne log
apnī dhun meñ magan rahte haiñ duniyā kā kyā lete haiñ
ham se aap na uljhā kījiye ham Thahre dīvāne log
dil kā raaz thī sachchī chāhat lekin kaise aam huī
ham to chup baiThe haiñ lekin kahte haiñ afsāne log
pahlā pherā mel hai pahlā dil se hue mānūs magar
pyaar kī anjānī bastī ke ye pyāre anjāne log
us se tark-e-ta.alluq par bhī aate jaate haiñ jo 'sarosh'
us kī galī meñ mil jaate haiñ kuchh jaane pahchāne log
diwanon ke pas aae hain apni si samjhane log
baste hain is duniya mein bhi kaise kaise siyane log
apni dhun mein magan rahte hain duniya ka kya lete hain
hum se aap na uljha kijiye hum Thahre diwane log
dil ka raaz thi sachchi chahat lekin kaise aam hui
hum to chup baiThe hain lekin kahte hain afsane log
pahla phera mel hai pahla dil se hue manus magar
pyar ki anjaani basti ke ye pyare anjaane log
us se tark-e-talluq par bhi aate jate hain jo 'sarosh'
us ki gali mein mil jate hain kuchh jaane pahchane log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.