diwanon se ye mat puchho diwanon pe kya guzri hai
dīvānoñ se ye mat pūchho dīvānoñ pe kyā guzrī hai
haañ un ke diloñ se ye pūchho armānoñ pe kyā guzrī hai
auroñ ko pilāte rahte haiñ aur ḳhud pyāse rah jaate haiñ
ye piine vaale kyā jāneñ paimānoñ pe kyā guzrī hai
mālik ne banāyā insāñ ko insān mohabbat kar baiThā
vo uupar baiThā kyā jaane insānoñ pe kyā guzrī hai
diwanon se ye mat puchho diwanon pe kya guzri hai
han un ke dilon se ye puchho armanon pe kya guzri hai
auron ko pilate rahte hain aur KHud pyase rah jate hain
ye pine wale kya jaanen paimanon pe kya guzri hai
malik ne banaya insan ko insan mohabbat kar baiTha
wo upar baiTha kya jaane insanon pe kya guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.