diwar-e-dil se lipTi hui yaad aur hai
diwar-e-dil se lipTi hui yaad aur hai
Mohammad Iftikharul Haq Samaj
MORE BYMohammad Iftikharul Haq Samaj
dīvār-e-dil se lipTī huī yaad aur hai
dar se juḌe fasānoñ kī ta.adād aur hai
be-ḳhvābiyoñ ko ġhaur se dekhā to ye khulā
ḳhvāboñ meñ ek rang tire baad aur hai
chāhūñ to maslahat ko farīza qarār duuñ
par kyā karūñ ki sunnat-e-ajdād aur hai
vīrāniyāñ haiñ mere mazāfāt meñ magar
duniyā koī vajūd meñ ābād aur hai
ā.īna-e-ḳhayāl ke aksoñ ne kah diyā
ham se varā sipāh-e-adam-zād aur hai
dariyā ke biich bhuul rahā huuñ shanāvarī
sāhil pe kyā ḳhabar koī uftād aur hai
tabdīl is qadar hī sazā ho sakī mirī
is baar mere vāste jallād aur hai
diwar-e-dil se lipTi hui yaad aur hai
dar se juDe fasanon ki tadad aur hai
be-KHwabiyon ko ghaur se dekha to ye khula
KHwabon mein ek rang tere baad aur hai
chahun to maslahat ko fariza qarar dun
par kya karun ki sunnat-e-ajdad aur hai
viraniyan hain mere mazafat mein magar
duniya koi wajud mein aabaad aur hai
aaina-e-KHayal ke akson ne kah diya
hum se wara sipah-e-adam-zad aur hai
dariya ke bich bhul raha hun shanawari
sahil pe kya KHabar koi uftad aur hai
tabdil is qadar hi saza ho saki meri
is bar mere waste jallad aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.