dīvār-e-vaqt par haiñ navishte ajiib se
raqsāñ galī galī meñ haiñ saa.e muhīb se
hairat hai kyoñ jo ā.īna TuuTā habīb se
Thokar hamesha lagtī hai bilkul qarīb se
nakbat kā dard tarsī nazar dil meñ iztirāb
ġhurbat kā karb pochhiye jā kar ġharīb se
ghar ke makīn ḳhair se lauTeñ na jab talak
ḳhadshāt ghere rahte haiñ dil ko ajiib se
muḳhlis bhī hoñ shafīq bhī qadr un kī kījiye
milte haiñ aise dost 'tabassum' nasīb se
diwar-e-waqt par hain nawishte ajib se
raqsan gali gali mein hain sae muhib se
hairat hai kyon jo aaina TuTa habib se
Thokar hamesha lagti hai bilkul qarib se
nakbat ka dard tarsi nazar dil mein iztirab
ghurbat ka karb pochhiye ja kar gharib se
ghar ke makin KHair se lauTen na jab talak
KHadshat ghere rahte hain dil ko ajib se
muKHlis bhi hon shafiq bhi qadr un ki kijiye
milte hain aise dost 'tabassum' nasib se
Source :
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.