diwar-o-dar ke sath koi intizam hai
dīvār-o-dar ke saath koī intizām hai
ruktā magar chalūñ ki mire ghar pe shaam hai
ye aañkh ḳhvāb-ḳhvāb thī ye phuul rang-rang
ye husn ramz ramz thā jo baam baam hai
kaa.ī jamī huī hai samundar ke ās-pās
sabze kā ik payām hai aur mere naam hai
pahchāntā huuñ apnī udāsī ke rang se
paanī pe tairtī huī shab hai ki shaam hai
diwar-o-dar ke sath koi intizam hai
rukta magar chalun ki mere ghar pe sham hai
ye aankh KHwab-KHwab thi ye phul rang-rang
ye husn ramz ramz tha jo baam baam hai
kai jami hui hai samundar ke aas-pas
sabze ka ek payam hai aur mere nam hai
pahchanta hun apni udasi ke rang se
pani pe tairti hui shab hai ki sham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.