diwar-o-dar ke waste manzar na laiye
dīvār-o-dar ke vāste manzar na lā.iye
bāhar ke rahne vaale ko andar na lā.iye
patthar se mere sar ke haiñ rishte hazār-hā
ab aap sar ke vāste patthar na lā.iye
insān lag rahā hai ik aaseb kī tarah
aaseb kyā hai is ko zabāñ par na lā.iye
phūloñ se kheliyegā agar phuul se haiñ haath
Dho Dho ke mere vāste patthar na lā.iye
manzūr hai qiyām jo patthar ke shahr meñ
shīshe kā apne saath koī ghar na lā.iye
'rāhī' ye āsmān hī achchhā hai sā.ebāñ
ab mere ghar ke vāste chhappar na lā.iye
diwar-o-dar ke waste manzar na laiye
bahar ke rahne wale ko andar na laiye
patthar se mere sar ke hain rishte hazar-ha
ab aap sar ke waste patthar na laiye
insan lag raha hai ek aaseb ki tarah
aaseb kya hai is ko zaban par na laiye
phulon se kheliyega agar phul se hain hath
Dho Dho ke mere waste patthar na laiye
manzur hai qiyam jo patthar ke shahr mein
shishe ka apne sath koi ghar na laiye
'rahi' ye aasman hi achchha hai saeban
ab mere ghar ke waste chhappar na laiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.