diwar-o-dar mein gham ka tamasha to hai abhi
dīvār-o-dar meñ ġham kā tamāsha to hai abhī
vo ḳhud nahīñ pa us kā bulāvā to hai abhī
mānūs ho chalī hai udāsī se zindagī
paañv ke ābloñ kā nazārā to hai abhī
sach hai ki zahr-e-ishq talattuf gurez thā
chiñgāriyoñ ne varna pukārā to hai abhī
ḳhvāboñ ko dar-ba-dar hī rakhā thā nasīb ne
āshuftagī meñ jaañ kā ḳhasāra to hai abhī
ma.alūm hai ki kuchh bhī nahīñ dasht-e-zīst meñ
ummīd-e-ḳhvāb hī pe guzārā to hai abhī
ruḳhsat shab-e-firāq bahut sah liyā tujhe
hamrāz garche ḳhvāb sitārā to hai abhī
be-tābiyāñ sameT ke pūchhā kare hai dil
qismat meñ apnī sub.h kā taarā to hai abhī
diwar-o-dar mein gham ka tamasha to hai abhi
wo KHud nahin pa us ka bulawa to hai abhi
manus ho chali hai udasi se zindagi
panw ke aablon ka nazara to hai abhi
sach hai ki zahr-e-ishq talattuf gurez tha
chingariyon ne warna pukara to hai abhi
KHwabon ko dar-ba-dar hi rakha tha nasib ne
aashuftagi mein jaan ka KHasara to hai abhi
malum hai ki kuchh bhi nahin dasht-e-zist mein
ummid-e-KHwab hi pe guzara to hai abhi
ruKHsat shab-e-firaq bahut sah liya tujhe
hamraaz garche KHwab sitara to hai abhi
be-tabiyan sameT ke puchha kare hai dil
qismat mein apni subh ka tara to hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.