diwar-o-dar the jaan sarae nikal gae
dīvār-o-dar the jaan sarā.e nikal ga.e
is baar sā.ebān se saa.e nikal ga.e
duniyā mushā.era hai so zaḳhmoñ kī daad ho
ham aa.e chand sher sunā.e nikal ga.e
ham apne dil ke shauq bhalā kab nikāleñge
tanḳhvāh meñ to sirf kirā.e nikal ga.e
jis ne amal kiyā use mahñgā bahut paḌā
fāriġh to de ke muft meñ raa.e nikal ga.e
āñkheñ jhapak rahā thā ki manzar badal gayā
kuchh rañg phuljaḌī meñ samā.e nikal ga.e
diwar-o-dar the jaan sarae nikal gae
is bar saeban se sae nikal gae
duniya mushaera hai so zaKHmon ki dad ho
hum aae chand sher sunae nikal gae
hum apne dil ke shauq bhala kab nikalenge
tanKHwah mein to sirf kirae nikal gae
jis ne amal kiya use mahnga bahut paDa
farigh to de ke muft mein rae nikal gae
aankhen jhapak raha tha ki manzar badal gaya
kuchh rang phuljaDi mein samae nikal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.