diwar pe rakkha to sitare se uThaya
dīvār pe rakkhā to sitāre se uThāyā
dil bujhne lagā thā so nazāre se uThāyā
be-jān paḌā dekhtā rahtā thā maiñ us ko
ik roz mujhe us ne ishāre se uThāyā
ik lahr mujhe khīñch ke le aa.ī bhañvar meñ
vo lahar jise maiñ ne kināre se uThāyā
ghar meñ kahīñ gunjā.ish-e-dar hī nahīñ rakkhī
buniyād ko kis shak ke sahāre se uThāyā
ik maiñ hī thā ai jins-e-mohabbat tujhe arzāñ
aur maiñ ne bhī ab haath ḳhasāre se uThāyā
diwar pe rakkha to sitare se uThaya
dil bujhne laga tha so nazare se uThaya
be-jaan paDa dekhta rahta tha main us ko
ek roz mujhe us ne ishaare se uThaya
ek lahr mujhe khinch ke le aai bhanwar mein
wo lahar jise main ne kinare se uThaya
ghar mein kahin gunjaish-e-dar hi nahin rakkhi
buniyaad ko kis shak ke sahaare se uThaya
ek main hi tha ai jins-e-mohabbat tujhe arzan
aur main ne bhi ab hath KHasare se uThaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.