diwar se dhup Dhal gai hai
dīvār se dhuup Dhal ga.ī hai
ek aur ghaḌī nikal ga.ī hai
apne hī ghar ajnabī se Thahre
juun apnī kahāñ badal ga.ī hai
huuñ sarfa-nafas amānat-e-dil
hāthoñ se mire phisal ga.ī hai
bāloñ meñ phire hai reshmī haath
bujhtī huī jaañ sañbhal ga.ī hai
jaatī huī shab tire badan par
har sub.h shafaq se mal ga.ī hai
diwar se dhup Dhal gai hai
ek aur ghaDi nikal gai hai
apne hi ghar ajnabi se Thahre
jun apni kahan badal gai hai
hun sarfa-nafas amanat-e-dil
hathon se mere phisal gai hai
baalon mein phire hai reshmi hath
bujhti hui jaan sanbhal gai hai
jati hui shab tere badan par
har subh shafaq se mal gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.