Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwaron par sae se lahraate the

Ishrat Afreen

diwaron par sae se lahraate the

Ishrat Afreen

MORE BYIshrat Afreen

    dīvāroñ par saa.e se lahrāte the

    log us tasvīreñ dekhne aate the

    us bastī meñ mujh ko bhī le jaanā thā

    jis bastī meñ chāñd-badan gahnāte the

    us kyārī meñ merī terī āñkheñ thiiñ

    jis kyārī meñ taare bo.e jaate the

    phuul kaTorā paanī āñkheñ aur diye

    log kahīñ vīrāne meñ rakh aate the

    diwaron par sae se lahraate the

    log us ki taswiren dekhne aate the

    us basti mein mujh ko bhi le jaana tha

    jis basti mein chand-badan gahnate the

    us kyari mein meri teri aankhen thin

    jis kyari mein tare boe jate the

    phul kaTora pani aankhen aur diye

    log kahin virane mein rakh aate the

    Source :
    • Book : Kunj piile phuulo.n kaa (Pg. 111)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now