dikha kar mujhko chashm-e-mast mastana bana Dala
dikhā kar mujh ko chashm-e-mast mastāna banā Daalā
pilā kar aaj saaqī tū ne dīvāna banā Daalā
qiyām-e-yād-e-ḳhūbāñ ko taraqqī de ḳhudā is ne
mire ujḌe hue dil ko parī-ḳhāna banā Daalā
dil-e-sad-chāk merā thā bhalā kis kaam ke qābil
magar ik shoḳh ne le kar ise shānā banā Daalā
zarar pahuñchā na mai-ḳhāne ko kuchh sang-e-havādis se
agar TuuTī koī botal to paimāna banā Daalā
ġhazab jaadū bharī hotī haiñ āñkheñ husn vāloñ kī
nazar jis se milā.ī us ko dīvāna banā Daalā
tamannā vasl kī dil se jo niklī ye ḳhayāl aayā
ki ik ābād ghar ko haa.e vīrāna banā Daalā
vo mai-kash huuñ ki har dam shīsha-o-sāġhar hai saath apne
jahāñ baiThā vahīñ par ek mai-ḳhāna banā Daalā
kHayāl-e-bada-noshī furqat-e-sāqī meñ jab aayā
banāyā dil ko ḳhum āñkhoñ ko paimāna banā Daalā
ḳhudā ke fazl se 'āfāq' thā farzāna-o-‘āqil
navāzish kī butoñ ne us ko dīvāna banā Daalā
dikha kar mujh ko chashm-e-mast mastana bana Dala
pila kar aaj saqi tu ne diwana bana Dala
qiyam-e-yaad-e-KHuban ko taraqqi de KHuda is ne
mere ujDe hue dil ko pari-KHana bana Dala
dil-e-sad-chaak mera tha bhala kis kaam ke qabil
magar ek shoKH ne le kar ise shana bana Dala
zarar pahuncha na mai-KHane ko kuchh sang-e-hawadis se
agar TuTi koi botal to paimana bana Dala
ghazab jadu bhari hoti hain aankhen husn walon ki
nazar jis se milai us ko diwana bana Dala
tamanna wasl ki dil se jo nikli ye KHayal aaya
ki ek aabaad ghar ko hae virana bana Dala
wo mai-kash hun ki har dam shisha-o-saghar hai sath apne
jahan baiTha wahin par ek mai-KHana bana Dala
kHayal-e-bada-noshi furqat-e-saqi mein jab aaya
banaya dil ko KHum aankhon ko paimana bana Dala
KHuda ke fazl se 'afaq' tha farzana-o-‘aqil
nawazish ki buton ne us ko diwana bana Dala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.