dikha ke apni hasin aan-ban pal bhar mein
dikhā ke apnī hasīñ ān-bān pal bhar meñ
vo duur kar gayā merī thakān pal bhar meñ
baġhair aag lagā.e bhī kuchh hasīnoñ ne
jalā diye haiñ ka.ī jism-o-jān pal bhar meñ
tamām log isī Dar meñ mar rahe haiñ yahāñ
bichhaḌ na jaa.eñ zamīñ āsmān pal bhar meñ
namāz-e-ishq bhī paḌhtā vo kaash ruk jaatā
jo de gayā mire dil meñ azaan pal bhar meñ
vo be-zabān thā lekin ye vāqi.a hai 'kañval'
sunā gayā hai koī dāstān pal bhar meñ
dikha ke apni hasin aan-ban pal bhar mein
wo dur kar gaya meri thakan pal bhar mein
baghair aag lagae bhi kuchh hasinon ne
jala diye hain kai jism-o-jaan pal bhar mein
tamam log isi Dar mein mar rahe hain yahan
bichhaD na jaen zamin aasman pal bhar mein
namaz-e-ishq bhi paDhta wo kash ruk jata
jo de gaya mere dil mein azan pal bhar mein
wo be-zaban tha lekin ye waqia hai 'kanwal'
suna gaya hai koi dastan pal bhar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.