dikha na dast-shanason ko hath, fal na puchh
dikhā na dast-shanāsoñ ko hāth, faal na pūchh
vo baat jis se ho sun kar tujhe malāl na pūchh
barahna teġh tanī hai saroñ pe insāñ ke
hilāl-e-īd nahīñ hai ye mere laal! na pūchh
ham apne kitne azīzoñ ke naam ginvā.eñ
ki apne aise hazāroñ haiñ ḳhasta-hāl na pūchh
farāz-e-dār pa ham log kab na the 'muḳhlis'
zamāna ab ke chalā hai vo ham se chaal na pūchh
dikha na dast-shanason ko hath, fal na puchh
wo baat jis se ho sun kar tujhe malal na puchh
barahna tegh tani hai saron pe insan ke
hilal-e-id nahin hai ye mere lal! na puchh
hum apne kitne azizon ke nam ginwaen
ki apne aise hazaron hain KHasta-haal na puchh
faraaz-e-dar pa hum log kab na the 'muKHlis'
zamana ab ke chala hai wo hum se chaal na puchh
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 405)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.