dikhae moajaze gar wo but-e-ayyar chuTki mein
dikhā.e mo.ajaze gar vo but-e-ayyār chuTkī meñ
to bole tā.ir-e-rañg-e-hinā har baar chuTkī meñ
hinā.ī fundaqeñ haiñ surḳh hai sofār chuTkī meñ
khilāyā hai mire qātil ne kyā gulzār chuTkī meñ
sitārī hai tumhārī yā ki naġhmoñ kā ḳhazāna hai
banī mizrāb bhī minqār-e-mūsīqār chuTkī meñ
mile gar ḳhāk-e-dar terī to hai iksīr kī chuTkī
abhī hotā hai achchhā ye dil-e-bīmār chuTkī meñ
liyā thā is zamīñ meñ imtihān-e-tab.a yāroñ se
kiye mauzūñ ye ham ne ai 'nasīm' ash.ār chuTkī meñ
dikhae moajaze gar wo but-e-ayyar chuTki mein
to bole tair-e-rang-e-hina har bar chuTki mein
hinai fundaqen hain surKH hai sofar chuTki mein
khilaya hai mere qatil ne kya gulzar chuTki mein
sitari hai tumhaari ya ki naghmon ka KHazana hai
bani mizrab bhi minqar-e-musiqar chuTki mein
mile gar KHak-e-dar teri to hai iksir ki chuTki
abhi hota hai achchha ye dil-e-bimar chuTki mein
liya tha is zamin mein imtihan-e-taba yaron se
kiye mauzun ye hum ne ai 'nasim' ashaar chuTki mein
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 152)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.