dikhai de raha hai jo sunai kyon nahin deta
dikhā.ī de rahā hai jo sunā.ī kyoñ nahīñ detā
sunā.ī de rahā hai jo dikhā.ī kyoñ nahīñ detā
judā ho kar bhī vo mujh ko judā.ī kyoñ nahīñ detā
vo apnī qaid se mujh ko rihā.ī kyoñ nahīñ detā
ḳhabar merī ḳhushī kī sun ke jo māyūs baiThā hai
vo merā hai to phir mujh ko badhā.ī kyoñ nahīñ detā
mujhe sab log kahte haiñ burā kahtā hai vo mujh ko
agar ye jhuuT hai to phir safā.ī kyoñ nahīñ detā
mohabbat ke likhūñ naġhme maiñ jis se dil ke safhoñ par
qalam ko ai ḳhudā vo raushnā.ī kyoñ nahīñ detā
sulagtī dopahar ko bhī jo bārish meñ bhigotā hai
vo jalte june se dil ko july kyoñ nahīñ detā
añdherā chhā gayā hai kyoñ 'kiran' har-sū fazāoñ meñ
ziyā meñ bhī tirī ham ko sujhā.ī kyoñ nahīñ detā
dikhai de raha hai jo sunai kyon nahin deta
sunai de raha hai jo dikhai kyon nahin deta
juda ho kar bhi wo mujh ko judai kyon nahin deta
wo apni qaid se mujh ko rihai kyon nahin deta
KHabar meri KHushi ki sun ke jo mayus baiTha hai
wo mera hai to phir mujh ko badhai kyon nahin deta
mujhe sab log kahte hain bura kahta hai wo mujh ko
agar ye jhuT hai to phir safai kyon nahin deta
mohabbat ke likhun naghme main jis se dil ke safhon par
qalam ko ai KHuda wo raushnai kyon nahin deta
sulagti dopahar ko bhi jo barish mein bhigota hai
wo jalte june se dil ko july kyon nahin deta
andhera chha gaya hai kyon 'kiran' har-su fazaon mein
ziya mein bhi teri hum ko sujhai kyon nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.