dikhai de to rahi hai bahut hasin mujhko
dikhā.ī de to rahī hai bahut hasīñ mujh ko
magar milā.egī miTTī meñ ye zamīñ mujh ko
unhoñ ne sirf mirā ek pahlū dekhā hai
jo jānte haiñ vo pahchānte nahīñ mujh ko
agar Thahartā to shāyad kuchal diyā jaatā
kisī ne rukne ko āvāzeñ ḳhuub diiñ mujh ko
vo haath bhiiḌ meñ chhūTā so us ke jaisā maiñ
talāsh kartā huuñ shāyad mile yahīñ mujh ko
mirī talāsh meñ duniyā paḌī huī hai dost
jo ho sake to chhupā de zarā kahīñ mujh ko
dikhai de to rahi hai bahut hasin mujh ko
magar milaegi miTTi mein ye zamin mujh ko
unhon ne sirf mera ek pahlu dekha hai
jo jaante hain wo pahchante nahin mujh ko
agar Thaharta to shayad kuchal diya jata
kisi ne rukne ko aawazen KHub din mujh ko
wo hath bhiD mein chhuTa so us ke jaisa main
talash karta hun shayad mile yahin mujh ko
meri talash mein duniya paDi hui hai dost
jo ho sake to chhupa de zara kahin mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.