dikhai ek se denge so karna sun ke alag
dikhā.ī ek se deñge so karnā sun ke alag
vo apnī dhun ke alag haiñ ham apnī dhun ke alag
ham aise log qabā.eñ haiñ baḌhte bachchoñ kī
ki jin ko rakh diyā jaatā hai pahle bun ke alag
isī liye to judā.ī bhī ḳhush-gavār rahī
bahut se ġham the hamāre alag aur un ke alag
ye nāsehoñ ko maiñ ab fārsī meñ samjhā.ūñ
'azāb kun ke alag hote haiñ makun ke alag
unhīñ ke saath maiñ kartā huuñ ab jugalbandī
kuchh ek log jo hote haiñ apnī dhun ke alag
guloñ ko rauñdne vaalo unheñ bhī yaad karo
jo log kar ga.e talvoñ se ḳhaar chun ke alag
dil ik parinda hai ḳhūrāk us kī ek sī rakh
vagarna bārhā māñgegā daane dunke alag
jo guzrī daane pe daana hī jāntā hai 'amit'
bhunā hai ho ke alag yā huā hai bhun ke alag
dikhai ek se denge so karna sun ke alag
wo apni dhun ke alag hain hum apni dhun ke alag
hum aise log qabaen hain baDhte bachchon ki
ki jin ko rakh diya jata hai pahle bun ke alag
isi liye to judai bhi KHush-gawar rahi
bahut se gham the hamare alag aur un ke alag
ye nasehon ko main ab farsi mein samjhaun
'azab kun ke alag hote hain makun ke alag
unhin ke sath main karta hun ab jugalbandi
kuchh ek log jo hote hain apni dhun ke alag
gulon ko raundne walo unhen bhi yaad karo
jo log kar gae talwon se KHar chun ke alag
dil ek parinda hai KHurak us ki ek si rakh
wagarna barha mangega dane dunke alag
jo guzri dane pe dana hi jaanta hai 'amit'
bhuna hai ho ke alag ya hua hai bhun ke alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.