dikhaun chir kar pahlu kise dil ranj-e-furqat mein
dikhaun chir kar pahlu kise dil ranj-e-furqat mein
Nabi Bakhsh Nayab
MORE BYNabi Bakhsh Nayab
dikhā.ūñ chiir kar pahlū kise dil ranj-e-furqat meñ
har ik se pūchhtā huuñ der kitnī hai qayāmat meñ
junūñ kā zor hai ye āj-kal merī tabī.at meñ
ki hairāñ ho rahe haiñ mast aahū chīn-o-tibbat meñ
judā sar kis tarah ho āstāñ se tere o zālim
hai likkhā tere darvāze kā patthar merī qismat meñ
havā.eñ tere kūche kī jo yaad aa jā.eñgī mujh ko
dar-o-dīvār dozaḳh ke dikhā.ī deñge jannat meñ
rah-e-mai-ḳhāna se ham bhuul kar masjid meñ aa pahuñche
ḳhalal apnī taraf se hai magar saaqī kī niyyat meñ
sharārat se nahīñ ḳhālī sitamgar sharmgīñ āñkheñ
nihāñ haiñ shoḳhiyāñ lākhoñ tirī bholī sī sūrat meñ
nazar se merī aisā kaun guzrā kis liye mujh ko
liye phirtā hai dil har majma.a-e-arbāb-e-sūrat meñ
na pūchho dil-farebī ahd-e-mastī-hā-e-ulfat kī
nikalnā haa.e vo ghar se merā josh-e-mohabbat meñ
digar-gūñ sub.h se hāl-e-dil-e-betāb hai apnā
ilāhī raat kaun aaya hamāre ḳhvāb-e-rāhat meñ
raho 'nāyāb' tum masrūf abhī kuchh raat baaqī hai
jigar bahtā chale ho kar lahū ashk-e-nadāmat meñ
dikhaun chir kar pahlu kise dil ranj-e-furqat mein
har ek se puchhta hun der kitni hai qayamat mein
junun ka zor hai ye aaj-kal meri tabiat mein
ki hairan ho rahe hain mast aahu chin-o-tibbat mein
juda sar kis tarah ho aastan se tere o zalim
hai likkha tere darwaze ka patthar meri qismat mein
hawaen tere kuche ki jo yaad aa jaengi mujh ko
dar-o-diwar dozaKH ke dikhai denge jannat mein
rah-e-mai-KHana se hum bhul kar masjid mein aa pahunche
KHalal apni taraf se hai magar saqi ki niyyat mein
shararat se nahin KHali sitamgar sharmgin aankhen
nihan hain shoKHiyan lakhon teri bholi si surat mein
nazar se meri aisa kaun guzra kis liye mujh ko
liye phirta hai dil har majma-e-arbab-e-surat mein
na puchho dil-farebi ahd-e-masti-ha-e-ulfat ki
nikalna hae wo ghar se mera josh-e-mohabbat mein
digar-gun subh se haal-e-dil-e-betab hai apna
ilahi raat kaun aaya hamare KHwab-e-rahat mein
raho 'nayab' tum masruf abhi kuchh raat baqi hai
jigar bahta chale ho kar lahu ashk-e-nadamat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.