dikhla do naqsh pa-e-rasul-e-amin ko
dikhla do naqsh pa-e-rasul-e-amin ko
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
dikhlā do naqsh pā-e-rasūl-e-amīn ko
tā-mashq sajda ho mire lauh-e-jabīn ko
ai āh-e-dil jo jaave to arsh-e-barīn ko
kahiyo salām iisā gardūñ-nashīn ko
balbe sharār-e-ashk kī garmī ki ab talak
ik aag lag rahī hai mirī āstīn ko
thā maiñ kamīn-e-bosa maiñ bole isī liye
ashrāf muñh lagāte nahīñ haiñ kamīn ko
jab maiñ hañsūñgā aap se ro dījiyegā na
phir tum bahut ho chheḌte is kam-tarīn ko
kahtī ho kyā raqīb ko bhejūñ batā salāh
la.anat hī bhejiyegā yazīd-e-la.īn ko
dekhūñ huuñ gar alif ko to ai dil hazār baar
kartā huuñ yaad tere qad-e-dil-nashīn ko
aave nazar jo laam to aave ḳhayāl-e-zulf
jab scene paḌh ke dekhūñ huuñ dandāñ masīn ko
kartā huuñ terī ulfat-e-dandāñ meñ siin siin
yaañ tak ki pahuñchā huuñ maiñ dam-e-vāpsīn ko
tabdīl-e-bahr se vo ġhazal paḌh ba-āb-o-tāb
'ehsāñ' ḳhushī ho jis se dil-e-sāma.īn ko
dikhla do naqsh pa-e-rasul-e-amin ko
ta-mashq sajda ho mere lauh-e-jabin ko
ai aah-e-dil jo jawe to arsh-e-barin ko
kahiyo salam isa gardun-nashin ko
balbe sharar-e-ashk ki garmi ki ab talak
ek aag lag rahi hai meri aastin ko
tha main kamin-e-bosa main bole isi liye
ashraf munh lagate nahin hain kamin ko
jab main hansunga aap se ro dijiyega na
phir tum bahut ho chheDte is kam-tarin ko
kahti ho kya raqib ko bhejun bata salah
lanat hi bhejiyega yazid-e-lain ko
dekhun hun gar alif ko to ai dil hazar bar
karta hun yaad tere qad-e-dil-nashin ko
aawe nazar jo lam to aawe KHayal-e-zulf
jab scene paDh ke dekhun hun dandan masin ko
karta hun teri ulfat-e-dandan mein sin sin
yan tak ki pahuncha hun main dam-e-wapsin ko
tabdil-e-bahr se wo ghazal paDh ba-ab-o-tab
'ehsan' KHushi ho jis se dil-e-samain ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.