dikhne mein hain sidhi laDki
dikhne meñ haiñ sīdhī laḌkī
lekin hai vo ziddī laḌkī
mujh ko har dam taḌpātī hai
apnī maañ kī bigḌī laḌkī
us par likhtā ġhazleñ pyārī
sab kuchh hai vo paglī laḌkī
ham ko chhoḌā ghar kī ḳhātir
ya.anī hai vo aslī laḌkī
va.ada thā ik sañg jiine kā
majbūrī meñ badlī laḌkī
dikhne mein hain sidhi laDki
lekin hai wo ziddi laDki
mujh ko har dam taDpati hai
apni man ki bigDi laDki
us par likhta ghazlen pyari
sab kuchh hai wo pagli laDki
hum ko chhoDa ghar ki KHatir
yani hai wo asli laDki
wada tha ek sang jine ka
majburi mein badli laDki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.