dil aaina-timsal ho gar soz-e-yaqin se
dil ā.ina-timsāl ho gar soz-e-yaqīñ se
sajdoñ kā ta'alluq rahe dar se na jabīñ se
ādāb-e-mohabbat meñ numā.ish nahīñ dāḳhil
sajdoñ ke nishāñ miT na ga.e lauh-e-jabīñ se
hastī ke maqāmāt hue ġhaib se raushan
hastī pe nazar kī jo kabhī uTh ke zamīñ se
maujoñ ne bulandī kī taraf ruḳh to kiyā hai
tāham haiñ bahut duur abhī māh-e-mubīñ se
dekhe to koī aag ke dariyā meñ utar kar
takmīl-e-mohabbat kā hai āġhāz yahīñ se
duniyā ko kahāñ mā’rifat-e-gardish-e-daurāñ
Takrā.eñge ye zarre kabhī 'arsh-e-barīñ se
har jalva nigāhoñ meñ taḌapne ko hai betāb
ye baat huī aa.ina ik gosha-nashīñ se
rakkhā hai qadam chaudhvīñ manzil meñ unhoñ ne
le aa.e koī shams-o-qamar charḳh-e-barīñ se
'bismil' maiñ unheñ dauḌ ke siine se lagā luuñ
ai kaash vo aate hue mil jaa.eñ kahīñ se
dil aaina-timsal ho gar soz-e-yaqin se
sajdon ka ta'alluq rahe dar se na jabin se
aadab-e-mohabbat mein numaish nahin daKHil
sajdon ke nishan miT na gae lauh-e-jabin se
hasti ke maqamat hue ghaib se raushan
hasti pe nazar ki jo kabhi uTh ke zamin se
maujon ne bulandi ki taraf ruKH to kiya hai
taham hain bahut dur abhi mah-e-mubin se
dekhe to koi aag ke dariya mein utar kar
takmil-e-mohabbat ka hai aaghaz yahin se
duniya ko kahan ma’rifat-e-gardish-e-dauran
Takraenge ye zarre kabhi 'arsh-e-barin se
har jalwa nigahon mein taDapne ko hai betab
ye baat hui aaina ek gosha-nashin se
rakkha hai qadam chaudhwin manzil mein unhon ne
le aae koi shams-o-qamar charKH-e-barin se
'bismil' main unhen dauD ke sine se laga lun
ai kash wo aate hue mil jaen kahin se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.