Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil aaya is tarah aaKHir fareb-e-saz-o-saman mein

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

dil aaya is tarah aaKHir fareb-e-saz-o-saman mein

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

MORE BYMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

    dil aayā is tarah āḳhir fareb-e-sāz-o-sāmāñ meñ

    ulajh kar jaise rah jaa.e koī ḳhvāb-e-pareshāñ meñ

    ye maanā zarre zarre par tumhārī mohr azal se hai

    magar kyā merī gunjā.ish nahīñ shahr-e-ḳhamoshāñ meñ

    pata us nigāh-e-vahshat-afzā lagānā hai

    nigāheñ vahshiyoñ dekhtā phirtā huuñ zindāñ meñ

    yahī hai ruuh jauhar tum aaoge to niklegā

    dam-e-āḳhir rukā hai ek aañsū chashm giryāñ meñ

    mirī jam.īyat-e-ḳhātir sāmāñ hashr kyā kartā

    qayāmat ho ga.ī tartīb-e-ajzā-e-pareshāñ meñ

    faroġh-e-lāla-o-ġhul tamāshā dekhne vaale

    ye mere dil choTeñ haiñ jo ubhrī haiñ gulistāñ meñ

    'azīz' ārā.ish-e-gulshan koī intihā bhī hai

    vo mahv-e-sair-e-gul haiñ gulistāñ hai gulistāñ meñ

    dil aaya is tarah aaKHir fareb-e-saz-o-saman mein

    ulajh kar jaise rah jae koi KHwab-e-pareshan mein

    ye mana zarre zarre par tumhaari mohr azal se hai

    magar kya meri gunjaish nahin shahr-e-KHamoshan mein

    pata us ki nigah-e-wahshat-afza ka lagana hai

    nigahen wahshiyon ki dekhta phirta hun zindan mein

    yahi hai ruh ka jauhar tum aaoge to niklega

    dam-e-aKHir ruka hai ek aansu chashm giryan mein

    meri jamiyat-e-KHatir ka saman hashr kya karta

    qayamat ho gai tartib-e-ajza-e-pareshan mein

    farogh-e-lala-o-ghul ka tamasha dekhne wale

    ye mere dil ki choTen hain jo ubhri hain gulistan mein

    'aziz' aaraish-e-gulshan ki koi intiha bhi hai

    wo mahw-e-sair-e-gul hain ya gulistan hai gulistan mein

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now