dil ab asir-e-zulf-e-parishan nahin raha
dil ab asīr-e-zulf-e-parīshāñ nahīñ rahā
jab apnā ġham huā ġham-e-jānāñ nahīñ rahā
shāḳheñ kuchh is tarah se jhuk aa.iiñ mirī taraf
mujh ko lihāz-e-tangī-e-dāmāñ nahīñ rahā
dīvāne rakhte aap kī baḳhiya-garī kī laaj
mushkil ye aa paḌī hai ki dāmāñ nahīñ rahā
aql-o-junūñ meñ sulh karā dī ḳhizāñ ne phir
gulshan meñ koī chāk-garebāñ nahīñ rahā
ai pāsbān-e-parda-e-auhām hoshiyār
dair-o-haram kī qaid meñ insāñ nahīñ rahā
vo valvale haiñ ab na tabassum na qahqahe
jis se mile the aap vo 'ehsāñ' nahīñ rahā
dil ab asir-e-zulf-e-parishan nahin raha
jab apna gham hua gham-e-jaanan nahin raha
shaKHen kuchh is tarah se jhuk aain meri taraf
mujh ko lihaz-e-tangi-e-daman nahin raha
diwane rakhte aap ki baKHiya-gari ki laj
mushkil ye aa paDi hai ki daman nahin raha
aql-o-junun mein sulh kara di KHizan ne phir
gulshan mein koi chaak-gareban nahin raha
ai pasban-e-parda-e-auham hoshiyar
dair-o-haram ki qaid mein insan nahin raha
wo walwale hain ab na tabassum na qahqahe
jis se mile the aap wo 'ehsan' nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.