dil ab us shahr mein jaane ko machalta bhi nahin
dil ab us shahr meñ jaane ko machaltā bhī nahīñ
kyā zarūrī hai zarūrat se alag ho jaanā
ain-mumkin hai samajh tum ko na aa.uuñ is saal
tum yahī karnā ki ujlat se alag ho jaanā
ye kahīñ chhīn na le sabr kī daulat tum se
dil dhuāñ kartī qayāmat se alag ho jaanā
vo tumheñ bhuul ke pāgal bhī to ho saktā hai
dekh kar vaqt suhūlat se alag ho jaanā
merī taqdīr meñ bas ek hī dukh utrā hai
dil kā us yaar kī sañgat se alag ho jaanā
terā ġham hī to uḌaa.e liye phirtā hai mujhe
chāhe kaun aisī aziyyat se alag ho jaanā
adh-khile phuul se rakhnā na kabhī rabt koī
adh-bujhe rañg kī hālat se alag ho jaanā
ham to jaañ haar chale haiñ pa tum ai nik.hat-e-gul
chashm-e-qātil kī mashiyyat se alag ho jaanā
dil ab us shahr mein jaane ko machalta bhi nahin
kya zaruri hai zarurat se alag ho jaana
ain-mumkin hai samajh tum ko na aaun is sal
tum yahi karna ki ujlat se alag ho jaana
ye kahin chhin na le sabr ki daulat tum se
dil dhuan karti qayamat se alag ho jaana
wo tumhein bhul ke pagal bhi to ho sakta hai
dekh kar waqt suhulat se alag ho jaana
meri taqdir mein bas ek hi dukh utra hai
dil ka us yar ki sangat se alag ho jaana
tera gham hi to uDae liye phirta hai mujhe
chahe kaun aisi aziyyat se alag ho jaana
adh-khile phul se rakhna na kabhi rabt koi
adh-bujhe rang ki haalat se alag ho jaana
hum to jaan haar chale hain pa tum ai nikhat-e-gul
chashm-e-qatil ki mashiyyat se alag ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.