dil abhi TuTa nahin hai be-ruKHi ke bawajud
dil abhī TuuTā nahīñ hai be-ruḳhī ke bāvajūd
zindagī meñ kyā rahā hai zindagī ke bāvajūd
āñkheñ ḳhīra ho ga.iiñ us husn-e-ālam-tāb se
kuchh nazar aatā nahīñ hai raushnī ke bāvajūd
inqalāb-e-qaum-o-millat hai kabhī hai āshtī
aur kabhī paiġhambarī hai shā.erī ke bāvajūd
aaj apne ahd meñ ye aadmī ko kyā huā
aadmī sā kuchh nahīñ hai aadmī ke bāvajūd
chāñdnī dariyā ḳhunak mausam mohabbat aur 'shujā'
ab vo fursat hī kahāñ hai dil-kashī ke bāvajūd
dil abhi TuTa nahin hai be-ruKHi ke bawajud
zindagi mein kya raha hai zindagi ke bawajud
aankhen KHira ho gain us husn-e-alam-tab se
kuchh nazar aata nahin hai raushni ke bawajud
inqalab-e-qaum-o-millat hai kabhi hai aashti
aur kabhi paighambari hai shaeri ke bawajud
aaj apne ahd mein ye aadmi ko kya hua
aadmi sa kuchh nahin hai aadmi ke bawajud
chandni dariya KHunak mausam mohabbat aur 'shuja'
ab wo fursat hi kahan hai dil-kashi ke bawajud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.