dil agar be-qarar hai to hai
dil agar be-qarār hai to hai
tum ko bhī mujh se pyaar hai to hai
ab guzāro sukūn se din tum
khoyā merā qarār hai to hai
tujh ko qismat atā kare sāvan
ashk kī yaañ phuhār hai to hai
terī rāheñ sajī ho phūloñ se
mere jīvan meñ ḳhaar hai to hai
rāh-e-ulfat se ab na lauTūñgā
merā dil hī shikār hai to hai
zindagī par nahīñ yaqīñ mujh ko
maut pe e.atibār hai to hai
sach hamesha akelā rahtā hai
jhuuT kī gar qatār hai to hai
zindagī bevafā nahīñ lekin
maut kā intizār hai to hai
dil agar be-qarar hai to hai
tum ko bhi mujh se pyar hai to hai
ab guzaro sukun se din tum
khoya mera qarar hai to hai
tujh ko qismat ata kare sawan
ashk ki yan phuhaar hai to hai
teri rahen saji ho phulon se
mere jiwan mein KHar hai to hai
rah-e-ulfat se ab na lauTunga
mera dil hi shikar hai to hai
zindagi par nahin yaqin mujh ko
maut pe eatibar hai to hai
sach hamesha akela rahta hai
jhuT ki gar qatar hai to hai
zindagi bewafa nahin lekin
maut ka intizar hai to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.