dil agar dard-ashna na hua
dil agar dard-āshnā na huā
us kā honā hī kyā huā na huā
vāqif-e-dard-e-lā-davā na huā
ḳhār-e-rah koī zer-e-pā na huā
marg-e-āshiq bhī nāravā Thahrī
ya.anī mar kar bhī haq adā na huā
shab-e-hijrāñ bhī ik qayāmat hai
kaun fitna thā jo bapā na huā
us ke va.adoñ pe kar rahā huuñ yaqīñ
jis kā va.ada kabhī vafā na huā
ḳhūbiyāñ haiñ yahī mohabbat kī
kaun hai zulm jo ravā na huā
rāh-e-ulfat meñ huuñ maiñ garm-e-safar
kyā hai gar koī dūsrā na huā
sher-goī se 'zabt' kyā hāsil
koī maddāh jab tirā na huā
dil agar dard-ashna na hua
us ka hona hi kya hua na hua
waqif-e-dard-e-la-dawa na hua
KHar-e-rah koi zer-e-pa na hua
marg-e-ashiq bhi narawa Thahri
yani mar kar bhi haq ada na hua
shab-e-hijran bhi ek qayamat hai
kaun fitna tha jo bapa na hua
us ke wadon pe kar raha hun yaqin
jis ka wada kabhi wafa na hua
KHubiyan hain yahi mohabbat ki
kaun hai zulm jo rawa na hua
rah-e-ulfat mein hun main garm-e-safar
kya hai gar koi dusra na hua
sher-goi se 'zabt' kya hasil
koi maddah jab tera na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.