dil aisa ishrat-o-rahat ki KHwahishon mein jala
dil aisā ishrat-o-rāhat kī ḳhvāhishoñ meñ jalā
tamām umr maiñ be-nām hasratoñ meñ jalā
ye kal kī baat hai zehnoñ meñ gūñjtī hogī
charāġh ek havāoñ ke rāstoñ meñ jalā
mire ḳhulūs ke saa.e meñ kaash jī saktā
mirā harīf jalā bhī to sāzishoñ meñ jalā
fazāoñ meñ jo añdhere bikher detā hai
vahī charāġh-e-adāvat magar diloñ meñ jalā
ye aur baat abhī raushnī nahīñ phailī
koī diyā to magar ġham kī zulmatoñ meñ jalā
vo kaun haiñ jinheñ saaya lagī firāq kī aañch
mirā badan to hamesha rafāqatoñ meñ jalā
yahī nahīñ ki farozāñ thī intizār kī aag
charāġh-e-dard bhī barsāt kī rutoñ meñ jalā
na-jāne khā ga.ī kis kī nazar bahāroñ ko
ye ek shahr-e-mohabbat thā nafratoñ meñ jalā
vafā kī aag meñ kundan banā to hairat kyā
'sirāj' vaise bhī ahbāb ke dukhoñ meñ jalā
dil aisa ishrat-o-rahat ki KHwahishon mein jala
tamam umr main be-nam hasraton mein jala
ye kal ki baat hai zehnon mein gunjti hogi
charagh ek hawaon ke raston mein jala
mere KHulus ke sae mein kash ji sakta
mera harif jala bhi to sazishon mein jala
fazaon mein jo andhere bikher deta hai
wahi charagh-e-adawat magar dilon mein jala
ye aur baat abhi raushni nahin phaili
koi diya to magar gham ki zulmaton mein jala
wo kaun hain jinhen saya lagi firaq ki aanch
mera badan to hamesha rafaqaton mein jala
yahi nahin ki farozan thi intizar ki aag
charagh-e-dard bhi barsat ki ruton mein jala
na-jaane kha gai kis ki nazar bahaaron ko
ye ek shahr-e-mohabbat tha nafraton mein jala
wafa ki aag mein kundan bana to hairat kya
'siraj' waise bhi ahbab ke dukhon mein jala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.