dil ajab gumbad ki jis mein ek kabutar bhi nahin
dil ajab gumbad ki jis meñ ik kabūtar bhī nahīñ
itnā vīrāñ to mazāroñ kā muqaddar bhī nahīñ
Dūbtī jaatī haiñ miTTī meñ badan kī kashtiyāñ
dekhne meñ ye zamīñ koī samundar bhī nahīñ
jitne hañgāme the sūkhī Tahniyoñ se jhaḌ ga.e
peḌ par phal bhī nahīñ āñgan meñ patthar bhī nahīñ
ḳhushk Tahnī par parinda hai ki pattā hai 'adīm'
āshiyāna bhī nahīñ jis kā koī par bhī nahīñ
jitnī pyārī haiñ mirī dhartī ko zanjīreñ 'adīm'
utnā pyārā to kisī dulhan ko zevar bhī nahīñ
dil ajab gumbad ki jis mein ek kabutar bhi nahin
itna viran to mazaron ka muqaddar bhi nahin
Dubti jati hain miTTi mein badan ki kashtiyan
dekhne mein ye zamin koi samundar bhi nahin
jitne hangame the sukhi Tahniyon se jhaD gae
peD par phal bhi nahin aangan mein patthar bhi nahin
KHushk Tahni par parinda hai ki patta hai 'adim'
aashiyana bhi nahin jis ka koi par bhi nahin
jitni pyari hain meri dharti ko zanjiren 'adim'
utna pyara to kisi dulhan ko zewar bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.