dil ajnabi des mein laga hai
dil ajnabī des meñ lagā hai
āñdhī se diye kā rābta hai
TuuTe hue log haiñ salāmat
ye naql-e-makānī kā mo.ajaza hai
koī bhī nahīñ yahāñ pe āzād
dhokā ye faqat nigāh kā hai
maiñ jis meñ nahīñ huuñ aur vahīñ huuñ
vo ghar mirī raah dekhtā hai
baḌh jā.eñgī aur uljhaneñ kuchh
lauT aane se fā.eda bhī kyā hai
jab DhūñD liyā use to jaanā
merā hī vajūd kho chukā hai
'ashfāq' har ek lamha-e-zīst
jiine kā ḳhirāj māñgtā hai
dil ajnabi des mein laga hai
aandhi se diye ka rabta hai
TuTe hue log hain salamat
ye naql-e-makani ka moajaza hai
koi bhi nahin yahan pe aazad
dhoka ye faqat nigah ka hai
main jis mein nahin hun aur wahin hun
wo ghar meri rah dekhta hai
baDh jaengi aur uljhanen kuchh
lauT aane se faeda bhi kya hai
jab DhunD liya use to jaana
mera hi wajud kho chuka hai
'ashfaq' har ek lamha-e-zist
jine ka KHiraj mangta hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 322)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.