dil apne hi mehwar se kabhi hil nahin sakta
dil apne hi mehwar se kabhi hil nahin sakta
Rana Khalid Mahmood Qaiser
MORE BYRana Khalid Mahmood Qaiser
dil apne hī mehvar se kabhī hil nahīñ saktā
māñgā jo kisī se vo mujhe mil nahīñ saktā
auroñ ke to dāman ko rafū kar diyā ham ne
jo apnā garebāñ hai kabhī sil nahīñ saktā
ai rabb-e-jahāñ is pe mujhe puurā yaqīñ hai
be-hukm tire pattā koī hil nahīñ saktā
is dil meñ tamanna kā gulistān basā hai
har phuul tamanna kā magar khil nahīñ saktā
dil us se lagānā koī āsāñ nahīñ 'qaisar'
iḳhlās se vo shaḳhs kabhī mil nahīñ saktā
dil apne hi mehwar se kabhi hil nahin sakta
manga jo kisi se wo mujhe mil nahin sakta
auron ke to daman ko rafu kar diya hum ne
jo apna gareban hai kabhi sil nahin sakta
ai rabb-e-jahan is pe mujhe pura yaqin hai
be-hukm tere patta koi hil nahin sakta
is dil mein tamanna ka gulistan basa hai
har phul tamanna ka magar khil nahin sakta
dil us se lagana koi aasan nahin 'qaisar'
iKHlas se wo shaKHs kabhi mil nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.