dil aur dil mein yaad kisi KHush-KHiram ki
dil aur dil meñ yaad kisī ḳhush-ḳhirām kī
siine meñ hashr le ke chale haiñ jahāñ se ham
ab chārasāzī-e-dil-e-bīmār kyā kareñ
ai marg-e-nā-gahāñ tujhe laa.eñ kahāñ se ham
allāh rakkhe ham ko sahārā hai zo'f kā
baiThe to phir uTheñge na is āstāñ se ham
kyā kyā diye fareb ġham-e-ishq-e-yār ne
dil ham se bad-gumān hai aur rāz-dāñ se ham
dil aur dil mein yaad kisi KHush-KHiram ki
sine mein hashr le ke chale hain jahan se hum
ab chaarasazi-e-dil-e-bimar kya karen
ai marg-e-na-gahan tujhe laen kahan se hum
allah rakkhe hum ko sahaara hai zo'f ka
baiThe to phir uThenge na is aastan se hum
kya kya diye fareb gham-e-ishq-e-yar ne
dil hum se bad-guman hai aur raaz-dan se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.