dil bahut be-qarar hota hai
dil bahut be-qarār hotā hai
us kā jab intizār hotā hai
pyaar pahlā hī pyaar hotā hai
jo sadā pā.edār hotā hai
anginat āftāb raushan haiñ
phir bhī kyoñ andhkār hotā hai
ik ghaḌī zindagī meñ aatī hai
maut kā intizār hotā hai
aaj to bach ga.e magar dekho
kaun kal ko shikār hotā hai
dushmanī dushmanī baḌhātī hai
pyaar karne se pyaar hotā hai
us se baḌh kar koī nahīñ 'nāsir'
us pe hī dil nisār hotā hai
dil bahut be-qarar hota hai
us ka jab intizar hota hai
pyar pahla hi pyar hota hai
jo sada paedar hota hai
anginat aaftab raushan hain
phir bhi kyon andhkar hota hai
ek ghaDi zindagi mein aati hai
maut ka intizar hota hai
aaj to bach gae magar dekho
kaun kal ko shikar hota hai
dushmani dushmani baDhati hai
pyar karne se pyar hota hai
us se baDh kar koi nahin 'nasir'
us pe hi dil nisar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.