dil bahut be-qarar hota hai
dil bahut be-qarār hotā hai
jab tirā intizār hotā hai
bāñsurī kī sadā pe mat jaanā
us kā siina figār hotā hai
ye siyāsī machān hai ki jahāñ
ḳhud shikārī shikār hotā hai
roz hotī kahāñ hai chashm-e-karam
hādisa ek baar hotā hai
un kī yādoñ ke phuul khilte haiñ
mausam-e-ḳhush-gavār hotā hai
kyoñ safar meñ hai dhuup kā ehsās
jab shajar sāya-dār hotā hai
lab pe hotā hai iḳhtiyār magar
dil pe kab iḳhtiyār hotā hai
jis kā pursān-e-hāl koī nahīñ
us kā parvardigār hotā hai
tazkira bazm-e-ġhair meñ 'siddīq'
aaj bhī bār-bār hotā hai
dil bahut be-qarar hota hai
jab tera intizar hota hai
bansuri ki sada pe mat jaana
us ka sina figar hota hai
ye siyasi machan hai ki jahan
KHud shikari shikar hota hai
roz hoti kahan hai chashm-e-karam
hadisa ek bar hota hai
un ki yaadon ke phul khilte hain
mausam-e-KHush-gawar hota hai
kyon safar mein hai dhup ka ehsas
jab shajar saya-dar hota hai
lab pe hota hai iKHtiyar magar
dil pe kab iKHtiyar hota hai
jis ka pursan-e-haal koi nahin
us ka parwardigar hota hai
tazkira bazm-e-ghair mein 'siddiq'
aaj bhi bar-bar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.