dil bahut be-tab tha un ko muqabil dekh kar
dil bahut be-tāb thā un ko muqābil dekh kar
haañ magar maiñ hosh meñ thā rang-e-mahfil dekh kar
kyā kahūñ mauj-e-havādis ke guzar jaane ke ba.ad
kyoñ uThā tūfāñ mirī āñkhoñ meñ sāhil dekh kar
sham’-e-dil raushan rakho jahd-o-amal kī raah meñ
varna zulmat luuT legī tum ko ġhāfil dekh kar
ab taġhāful kā gila bejā hai daur-e-hijr meñ
dil ko dete vaqt dete lā.iq-e-dil dekh kar
kyoñ mire chehre pe gard-e-ġham na ho ai ham-nafas
aa rahā huuñ āñdhiyāñ manzil-ba-manzil dekh kar
māh-e-kāmil kī haqīqat ho ga.ī ham par ayaañ
ham ne jab bhī un ko dekhā māh-e-kāmil dekh kar
dil bahut be-tab tha un ko muqabil dekh kar
han magar main hosh mein tha rang-e-mahfil dekh kar
kya kahun mauj-e-hawadis ke guzar jaane ke baad
kyon uTha tufan meri aankhon mein sahil dekh kar
sham’-e-dil raushan rakho jahd-o-amal ki rah mein
warna zulmat luT legi tum ko ghafil dekh kar
ab taghaful ka gila beja hai daur-e-hijr mein
dil ko dete waqt dete laiq-e-dil dekh kar
kyon mere chehre pe gard-e-gham na ho ai ham-nafas
aa raha hun aandhiyan manzil-ba-manzil dekh kar
mah-e-kaamil ki haqiqat ho gai hum par ayan
hum ne jab bhi un ko dekha mah-e-kaamil dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.