dil bano dil ka muddaa bhi bano
dil bano dil kā mudda.ā bhī bano
saaz bhī saaz kī sadā bhī bano
tum ne hī dil ko dard baḳhshā hai
tum hī is dard kī davā bhī bano
jis mohabbat kī ibtidā ho tum
us mohabbat kī intihā bhī bano
tum ḳhudā ho mujhe nahīñ inkār
lutf jab hai ki nāḳhudā bhī bano
dost banñā burā nahīñ 'sarshār'
shart ye hai ki bā-vafā bhī bano
dil bano dil ka muddaa bhi bano
saz bhi saz ki sada bhi bano
tum ne hi dil ko dard baKHsha hai
tum hi is dard ki dawa bhi bano
jis mohabbat ki ibtida ho tum
us mohabbat ki intiha bhi bano
tum KHuda ho mujhe nahin inkar
lutf jab hai ki naKHuda bhi bano
dost banna bura nahin 'sarshaar'
shart ye hai ki ba-wafa bhi bano
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.