dil-baran log KHubsurat hain
dil-barāñ log ḳhūbsūrat haiñ
merī jaañ log ḳhūbsūrat haiñ
phuul jin ke nisār jaate haiñ
mehrbāñ log ḳhūbsūrat haiñ
mujh se mat kar shu.ūr kī bāteñ
sun miyāñ log ḳhūbsūrat haiñ
ḳhaak se tū jinheñ banātā hai
vo jahāñ log ḳhūbsūrat haiñ
bastiyāñ jo mirī jalāte hoñ
vo kahāñ log ḳhūbsūrat haiñ
amn kī justujū meñ nikle hue
be-amāñ log ḳhūbsūrat haiñ
jab se tū bad-gumāñ huā 'ādil'
bad-gumāñ log ḳhūbsūrat haiñ
dil-baran log KHubsurat hain
meri jaan log KHubsurat hain
phul jin ke nisar jate hain
mehrban log KHubsurat hain
mujh se mat kar shuur ki baaten
sun miyan log KHubsurat hain
KHak se tu jinhen banata hai
wo jahan log KHubsurat hain
bastiyan jo meri jalate hon
wo kahan log KHubsurat hain
amn ki justuju mein nikle hue
be-aman log KHubsurat hain
jab se tu bad-guman hua 'adil'
bad-guman log KHubsurat hain
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.