dil-bastagi ke hote hain saman kabhi kabhi
dil-bastagi ke hote hain saman kabhi kabhi
Syed Muzaffar Ahmad Ziya
MORE BYSyed Muzaffar Ahmad Ziya
dil-bastagī ke hote haiñ sāmāñ kabhī kabhī
kashtī kī samt baḌhte haiñ tūfāñ kabhī kabhī
mahsūs ye huā ki jale ham tamām shab
dekhā hai yuuñ bhī jashn-e-charāġhāñ kabhī kabhī
ye to talab nahīñ ki ba-qadr-e-talab mile
lekin ba-qadr-e-vus.at-e-dāmāñ kabhī kabhī
hote haiñ ittifāq se dīvāne ek jā
aatī hai raas gardish-e-daurāñ kabhī kabhī
pheñkī hai maiñ ne apne hī hālāt par kamand
ḳhud se huā huuñ dast-o-garebāñ kabhī kabhī
yā roz ek taaza sitam āzmā.iye
yā phir hamārī shaan ke shāyāñ kabhī kabhī
dil-bastagi ke hote hain saman kabhi kabhi
kashti ki samt baDhte hain tufan kabhi kabhi
mahsus ye hua ki jale hum tamam shab
dekha hai yun bhi jashn-e-charaghan kabhi kabhi
ye to talab nahin ki ba-qadr-e-talab mile
lekin ba-qadr-e-wusat-e-daman kabhi kabhi
hote hain ittifaq se diwane ek ja
aati hai ras gardish-e-dauran kabhi kabhi
phenki hai main ne apne hi haalat par kamand
KHud se hua hun dast-o-gareban kabhi kabhi
ya roz ek taza sitam aazmaiye
ya phir hamari shan ke shayan kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.