dil bhi aawara nazar aawara
dil bhī āvāra nazar āvāra
kaT gayā saarā safar āvāra
zindagī bhaTkā huā jañgal hai
raah bechain shajar āvāra
ruuh kī khiḌkī se ham jhāñkte haiñ
aur lagtā hai nagar āvāra
tujh ko ma.alūm kahāñ hogā ki shab
kaise karte haiñ basar āvāra
mujh ko ma.alūm hai apne baare
huuñ bahut achchhā magar āvāra
ye alag baat ki bas pal-do-pal
lauT ke aate haiñ ghar āvāra
dil bhi aawara nazar aawara
kaT gaya sara safar aawara
zindagi bhaTka hua jangal hai
rah bechain shajar aawara
ruh ki khiDki se hum jhankte hain
aur lagta hai nagar aawara
tujh ko malum kahan hoga ki shab
kaise karte hain basar aawara
mujh ko malum hai apne bare
hun bahut achchha magar aawara
ye alag baat ki bas pal-do-pal
lauT ke aate hain ghar aawara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.