dil bhi ba-zid hai aur taqaza-e-yar bhi
dil bhī ba-zid hai aur taqāzā-e-yār bhī
ik bojh hai anā kā labāda utaar bhī
apnī shikastagī kā mujhe ġham nahīñ magar
bikhre paḌe hue haiñ yahāñ vaz.a-dār bhī
vo qahr hai ki dasht-o-bayābāñ pe bas nahīñ
uḌtī hai ḳhaak ab ke sar-e-kohsār bhī
ghaT jā.egā shikasta badan ke hisār meñ
tū apne aap ko kahīñ ruk kar pukār bhī
ḳhud ko sameTne hī chalā thā ki ye khulā
hai aur intishār pas-e-intishār bhī
vo vaqt aa paḌā ki sabhī dam-ba-ḳhud rahe
kaam aa sakā na apne lahū kā hisār bhī
kis dhund meñ ulajhne lagā huuñ maiñ aaj shaam
be-manzarī kī ḳhaak hai āñkhoñ ke paar bhī
dil bhi ba-zid hai aur taqaza-e-yar bhi
ek bojh hai ana ka labaada utar bhi
apni shikastagi ka mujhe gham nahin magar
bikhre paDe hue hain yahan waza-dar bhi
wo qahr hai ki dasht-o-bayaban pe bas nahin
uDti hai KHak ab ke sar-e-kohsar bhi
ghaT jaega shikasta badan ke hisar mein
tu apne aap ko kahin ruk kar pukar bhi
KHud ko sameTne hi chala tha ki ye khula
hai aur intishaar pas-e-intishaar bhi
wo waqt aa paDa ki sabhi dam-ba-KHud rahe
kaam aa saka na apne lahu ka hisar bhi
kis dhund mein ulajhne laga hun main aaj sham
be-manzari ki KHak hai aankhon ke par bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.