dil bhi ehsasat bhi jazbaat bhi
dil bhī ehsāsāt bhī jazbāt bhī
kam nahīñ haiñ ham pe ilzāmāt bhī
rok do ye raushnī kī tez dhaar
merī miTTī meñ guñdhī hai raat bhī
muqtadī mere sabhī maiñ huuñ imaam
haiñ kamāl-e-ishq ke darjāt bhī
chāñd apne aap ko kahte ho tum
aao dekheñ ho ga.ī hai raat bhī
duur tak ham bhīgte chalte rahe
der tak hotī rahī barsāt bhī
saath chalne meñ pareshānī bhī hai
haath meñ thāme hue haiñ haath bhī
dil bhi ehsasat bhi jazbaat bhi
kam nahin hain hum pe ilzamat bhi
rok do ye raushni ki tez dhaar
meri miTTi mein gundhi hai raat bhi
muqtadi mere sabhi main hun imam
hain kamal-e-ishq ke darjat bhi
chand apne aap ko kahte ho tum
aao dekhen ho gai hai raat bhi
dur tak hum bhigte chalte rahe
der tak hoti rahi barsat bhi
sath chalne mein pareshani bhi hai
hath mein thame hue hain hath bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.