dil bhi kya kya KHwahish karta rahta hai
dil bhī kyā kyā ḳhvāhish kartā rahtā hai
jab dekho farmā.ish kartā rahtā hai
mere us ke biich meñ duurī hai kitnī
vo is kī paimā.ish kartā rahtā hai
dil us kā andar se TuuTā hai lekin
chehre kī zebā.ish kartā rahtā hai
vāqif hai hālāt-e-chaman se tū phir bhī
ḳhushbū kī farmā.ish kartā rahtā hai
dil ko ḳhuub patā hai harjā.ī hai vo
phir bhī ye gunjā.ish kartā rahtā hai
dil bhi kya kya KHwahish karta rahta hai
jab dekho farmaish karta rahta hai
mere us ke bich mein duri hai kitni
wo is ki paimaish karta rahta hai
dil us ka andar se TuTa hai lekin
chehre ki zebaish karta rahta hai
waqif hai haalat-e-chaman se tu phir bhi
KHushbu ki farmaish karta rahta hai
dil ko KHub pata hai harjai hai wo
phir bhi ye gunjaish karta rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.